ab jo uTThenge to kandhon pe uThana hoga
ab jo uTTheñge to kāñdhoñ pe uThānā hogā
bistar-e-ḳhāk pe phir ham ko sulānā hogā
ham se ujḌe hue logoñ se bhī mil kar dekho
darmiyāñ koī to ik rabt purānā hogā
āḳhirī dhuup haiñ āñkhoñ meñ basā lo varna
phir kahāñ ḳhvāb kisī shab kā suhānā hogā
jab ho isbāt hī ḳhud apnī nafī kā baa.is
dil ko har qaid-e-tamannā se chhuḌānā hogā
terī duniyā kī aziyyat to uThā lī yārab
bojh uqbā kā bhī kyā yuuñ hī uThānā hogā
ab jo uTThenge to kandhon pe uThana hoga
bistar-e-KHak pe phir hum ko sulana hoga
hum se ujDe hue logon se bhi mil kar dekho
darmiyan koi to ek rabt purana hoga
aaKHiri dhup hain aankhon mein basa lo warna
phir kahan KHwab kisi shab ka suhana hoga
jab ho isbaat hi KHud apni nafi ka bais
dil ko har qaid-e-tamanna se chhuDana hoga
teri duniya ki aziyyat to uTha li yarab
bojh uqba ka bhi kya yun hi uThana hoga
- Book : Simati Dhoop (Pg. 47)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.