ab kahan ka junun ki mar rahiye
ab kahāñ kā junūñ ki mar rahiye
dasht-o-sahrā haiñ tang ghar rahiye
mil hī jā.egā ġhairat-e-firdaus
ism-e-jāñ paḌhiye raah par rahiye
āgahī ḳhuun chuus letī hai
chhoḌiye jo ho bā-ḳhabar rahiye
apnī gudḌī meñ mast hai ye malang
dāvar-e-zar miyāñ udhar rahiye
shahr-e-ḳhūbān-e-sabz-rang kahāñ
kis ḳharābe meñ ziist kar rahiye
kū-e-jānāñ meñ kam se kam 'sāqib'
aabrū rakhiye beshtar rahiye
ab kahan ka junun ki mar rahiye
dasht-o-sahra hain tang ghar rahiye
mil hi jaega ghairat-e-firdaus
ism-e-jaan paDhiye rah par rahiye
aagahi KHun chus leti hai
chhoDiye jo ho ba-KHabar rahiye
apni gudDi mein mast hai ye malang
dawar-e-zar miyan udhar rahiye
shahr-e-KHuban-e-sabz-rang kahan
kis KHarabe mein zist kar rahiye
ku-e-jaanan mein kam se kam 'saqib'
aabru rakhiye beshtar rahiye
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 78)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.