ab kahan log wo girton ko uThane wale
ab kahāñ log vo girtoñ ko uThāne vaale
kaise badleñ haiñ tire ba.ad zamāne vaale
apnī yādoñ ke nagar se to nikālo mujh ko
taḳhtī-e-dil se mirā naam miTāne vaale
rakh liyā kuchh to bharam yaar ajal ne terā
ham tire ḳhat the sabhī aaj jalāne vaale
ek shā.ir kī mohabbat meñ magan hai laḌkī
naam lete haiñ tirā baat batāne vaale
chun liyā ham ne mohabbat kā ḳhudā tujh ko aur
tā-qayāmat haiñ kahī apnī nibhāne vaale
merī tasvīr lagā kar vo bahāne se gale
merā maazī haiñ mujhe aaj dikhāne vaale
dekh kaisā hai tirā haal bichhaḌ kar mujh se
pyaar 'ambar' kā zamāne se chhupāne vaale
ab kahan log wo girton ko uThane wale
kaise badlen hain tere baad zamane wale
apni yaadon ke nagar se to nikalo mujh ko
taKHti-e-dil se mera nam miTane wale
rakh liya kuchh to bharam yar ajal ne tera
hum tere KHat the sabhi aaj jalane wale
ek shair ki mohabbat mein magan hai laDki
nam lete hain tera baat batane wale
chun liya hum ne mohabbat ka KHuda tujh ko aur
ta-qayamat hain kahi apni nibhane wale
meri taswir laga kar wo bahane se gale
mera mazi hain mujhe aaj dikhane wale
dekh kaisa hai tera haal bichhaD kar mujh se
pyar 'ambar' ka zamane se chhupane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.