ab kahan un ka hasin sath chalo so jaen
ab kahāñ un kā hasīñ saath chalo so jaa.eñ
phīkī phīkī hai har ik raat chalo so jaa.eñ
muntaqil kar deñ dil-o-zehn kahīñ aur apne
jaan le leñ na ye sadmāt chalo so jaa.eñ
hijr kī shab to yūñhī jāgte guzrī saarī
ab sahar se hai mulāqāt chalo so jaa.eñ
mausam-e-gul meñ bhī ab so.e hue rahte haiñ
ab kahāñ yaar vo jazbāt chalo so jaa.eñ
ab koī aur bharam apnā rahā na qaa.em
khā chuke un se bhī ab maat chalo so jaa.eñ
hukmarānī jahāñ phūloñ kī rahā kartī thī
aaj kāñToñ kī hai bārāt chalo so jaa.eñ
kar rahe haiñ mujhe zyāda hī pareshāñ har pal
zindagī ab tire ḳhadshāt chalo so jaa.eñ
abr-ālūd fazā ho ga.ī shaffāf 'anjum'
ho chukī āñkhoñ se barsāt chalo so jaa.eñ
ab kahan un ka hasin sath chalo so jaen
phiki phiki hai har ek raat chalo so jaen
muntaqil kar den dil-o-zehn kahin aur apne
jaan le len na ye sadmat chalo so jaen
hijr ki shab to yunhi jagte guzri sari
ab sahar se hai mulaqat chalo so jaen
mausam-e-gul mein bhi ab soe hue rahte hain
ab kahan yar wo jazbaat chalo so jaen
ab koi aur bharam apna raha na qaem
kha chuke un se bhi ab mat chalo so jaen
hukmarani jahan phulon ki raha karti thi
aaj kanTon ki hai baraat chalo so jaen
kar rahe hain mujhe zyaada hi pareshan har pal
zindagi ab tere KHadshat chalo so jaen
abr-alud faza ho gai shaffaf 'anjum'
ho chuki aankhon se barsat chalo so jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.