ab kahan wo jurat-e-izhaar ‘kaifi-azmi’
Interesting Fact
نذر کیفی اعظمی
ab kahāñ vo jur.at-e-iz.hār ‘kaifī-āzmī’
ho gayā suunā suḳhan-darbār ‘kaifī-āzmī’
rah gayā saanī kahāñ us kā jahān-e-sher meñ
vaqt se thā barsar-e-paikār ‘kaifī-āzmī’
ḳhaak meñ sher-o-suḳhan ke bām-o-dar ġhaltāñ hue
kaun hai ab ġhāzī-e-guftār ‘kaifī-āzmī’
ilm-o-hikmat kā ḳhasāra kis tarah bardāsht ho
shā.erī kā sust hai bāzār ‘kaifī-āzmī’
sher-raste ke musāfir is liye ġhamgīñ haiñ
kaT ga.e sab peḌ sāya-dār ‘kaifī-āzmī’
kaun suntā hai sadā TuuTe hue dil kī 'azīm'
kis se jā kar maiñ karūñ iz.hār ‘kaifī-āzmī’
ab kahan wo jurat-e-izhaar ‘kaifi-azmi’
ho gaya suna suKHan-darbar ‘kaifi-azmi’
rah gaya sani kahan us ka jahan-e-sher mein
waqt se tha barsar-e-paikar ‘kaifi-azmi’
KHak mein sher-o-suKHan ke baam-o-dar ghaltan hue
kaun hai ab ghazi-e-guftar ‘kaifi-azmi’
ilm-o-hikmat ka KHasara kis tarah bardasht ho
shaeri ka sust hai bazar ‘kaifi-azmi’
sher-raste ke musafir is liye ghamgin hain
kaT gae sab peD saya-dar ‘kaifi-azmi’
kaun sunta hai sada TuTe hue dil ki 'azim'
kis se ja kar main karun izhaar ‘kaifi-azmi’
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.