ab kahan wo waqt ke be-laus yari chahiye
ab kahāñ vo vaqt ke be-laus yaarī chāhiye
umr ke is daur meñ ab zimmedārī chāhiye
vasl-o-furqat ke tilismī dā.eroñ se TuuT kar
ab rifāqat meñ hameñ kuchh pā.edārī chāhiye
yuuñ nahīñ ke sabr kī talqīn kar ke chal diye
chārāgar haiñ to musalsal ġham-gusārī chāhiye
kis qadar haiñ log mere haal par mātam-kunāñ
shakl par apnī bhī kuchh to sogvārī chāhiye
ham-safar chunñā bhī hai ik kārobār-e-zindagī
so hameñ āshiq nahīñ ik kārobārī chāhiye
ab kahan wo waqt ke be-laus yari chahiye
umr ke is daur mein ab zimmedari chahiye
wasl-o-furqat ke tilismi daeron se TuT kar
ab rifaqat mein hamein kuchh paedari chahiye
yun nahin ke sabr ki talqin kar ke chal diye
chaaragar hain to musalsal gham-gusari chahiye
kis qadar hain log mere haal par matam-kunan
shakl par apni bhi kuchh to sogwari chahiye
ham-safar chunna bhi hai ek karobar-e-zindagi
so hamein aashiq nahin ek karobari chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.