ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai
ab kaun baat rah ga.ī ye baat bhī ga.ī
ya.anī kabhī kabhī kī mulāqāt bhī ga.ī
kahte haiñ vo ki jazba-e-dil ab fareb hai
jab dil gayā to dil kī karāmāt bhī ga.ī
jo kuchh kiyā vo tū ne kiyā iztirāb-e-shauq
sau āfateñ bhī aa.iiñ mirī baat bhī ga.ī
dastār aap kī jo huī rehn-e-mai-kada
tauba hamārī qibla-e-hājāt bhī ga.ī
va.ade kī kaun raat qayāmat kā din nahīñ
āsār-e-sub.h kahte haiñ ye raat bhī ga.ī
maanā ki din sidhāre 'mubārak' shabāb ke
rañgīñ tabī.atoñ se mulāqāt bhī ga.ī
ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai
yani kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai
kahte hain wo ki jazba-e-dil ab fareb hai
jab dil gaya to dil ki karamat bhi gai
jo kuchh kiya wo tu ne kiya iztirab-e-shauq
sau aafaten bhi aain meri baat bhi gai
dastar aap ki jo hui rehn-e-mai-kada
tauba hamari qibla-e-hajat bhi gai
wade ki kaun raat qayamat ka din nahin
aasar-e-subh kahte hain ye raat bhi gai
mana ki din sidhaare 'mubarak' shabab ke
rangin tabiaton se mulaqat bhi gai
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.