ab ke aisa hashr bapa hai dil ke andar rote hain
ab ke aisā hashr bapā hai dil ke andar rote haiñ
merī āñkhoñ kī vus'at par saat samundar rote haiñ
maiñ ne apne bachpan hī meñ vo sarmāya dafn kiyā
jis kī ḳhātir ab tak mere dīvār-o-dar rote haiñ
ḳhvāb meñ ham ko aksar ik tasvīr dikhā.ī jaatī hai
pahle ḳhush ho jaate haiñ phir Tuut ke us par rote haiñ
vahshat-e-shab aur dasht-o-sahrā dariyā jangal aur pahāḌ
ye saare to mujh se yuuñ hī roz lipaT kar rote haiñ
jaane kaise log the vo jo vīrāne se bichhaḌ ga.e
jin ke liye ābād ḳharābe ke sab manzar rote haiñ
ik ḳhādim meñ itnī ḳhūbī jab ginvā.ī jaatī hai
apnī apnī qismat par phir saare sikandar rote haiñ
'āsif' sāhab zabt karoge to pāgal ho jāoge
is dukh par to achchhe achchhe mast qalandar rote haiñ
ab ke aisa hashr bapa hai dil ke andar rote hain
meri aankhon ki wus'at par sat samundar rote hain
main ne apne bachpan hi mein wo sarmaya dafn kiya
jis ki KHatir ab tak mere diwar-o-dar rote hain
KHwab mein hum ko aksar ek taswir dikhai jati hai
pahle KHush ho jate hain phir Tut ke us par rote hain
wahshat-e-shab aur dasht-o-sahra dariya jangal aur pahaD
ye sare to mujh se yun hi roz lipaT kar rote hain
jaane kaise log the wo jo virane se bichhaD gae
jin ke liye aabaad KHarabe ke sab manzar rote hain
ek KHadim mein itni KHubi jab ginwai jati hai
apni apni qismat par phir sare sikandar rote hain
'asif' sahab zabt karoge to pagal ho jaoge
is dukh par to achchhe achchhe mast qalandar rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.