ab ke hasin bahaar mein zulfen saja ke dekh
ab ke hasīñ bahār meñ zulfeñ sajā ke dekh
sāġhar ko apne haath se tū bhī uThā ke dekh
parvāz dekhnī ho fazāoñ meñ gar tujhe
piñjre se āsmān pe panchhī uḌā ke dekh
ehsān hī to hogā zamāne kī saañs par
bujhte hue ḳhayāl kā sūraj ugā ke dekh
āñkhoñ meñ ik hasīn sī tasvīr to rahe
naqsh-o-nigār jism ke tū bhī banā ke dekh
aḳhbār meñ sukūn se paḌhtā hai hādse
'mas'ūd' apne aap meñ nashtar lagā ke dekh
ab ke hasin bahaar mein zulfen saja ke dekh
saghar ko apne hath se tu bhi uTha ke dekh
parwaz dekhni ho fazaon mein gar tujhe
pinjre se aasman pe panchhi uDa ke dekh
ehsan hi to hoga zamane ki sans par
bujhte hue KHayal ka suraj uga ke dekh
aankhon mein ek hasin si taswir to rahe
naqsh-o-nigar jism ke tu bhi bana ke dekh
aKHbar mein sukun se paDhta hai hadse
'mas'ud' apne aap mein nashtar laga ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.