ab ke patthar hi barsenge barsat mein
ab ke patthar hī barseñge barsāt meñ
mat raho ā.inoñ ke makānāt meñ
dopahar dhuup aur us pe tanhā safar
kis se bāteñ karūñ aise hālāt meñ
karb mahrūmiyāñ huzn māyūsiyāñ
sab haiñ tahlīl insān kī zaat meñ
DhūñDte ho ḳhalāoñ meñ kyā dosto
hai ḳhabar kitne jauhar haiñ zarrāt meñ
dosto dilkashī ab kahīñ bhī nahīñ
yaar meñ phuul meñ chāñdnī raat meñ
ab ke patthar hi barsenge barsat mein
mat raho aainon ke makanat mein
dopahar dhup aur us pe tanha safar
kis se baaten karun aise haalat mein
karb mahrumiyan huzn mayusiyan
sab hain tahlil insan ki zat mein
DhunDte ho KHalaon mein kya dosto
hai KHabar kitne jauhar hain zarraat mein
dosto dilkashi ab kahin bhi nahin
yar mein phul mein chandni raat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.