ab ke sauda to mere sar se bahut aage tha
ab ke saudā to mire sar se bahut aage thā
kyā irāda kisī patthar se bahut aage thā
aap ko kaise ḳhabar ho ga.ī jalne kī mire
aap kā ghar to mire ghar se bahut aage thā
vo to kahiye ki nigāheñ nahīñ lauTīñ varna
ek manzar pas-e-manzar se bahut aage thā
aap ne pyaas kī shiddat nahīñ dekhī varna
ek ik qatra samundar se bahut aage thā
jaane kis vādī-e-ḳhāmosh meñ rū-posh huā
haañ vahī shaḳhs jo lashkar se bahut aage thā
ik ajab Dar mirī rag rag meñ samāyā thā 'shamīm'
ek ehsās magar Dar se bahut aage thā
ab ke sauda to mere sar se bahut aage tha
kya irada kisi patthar se bahut aage tha
aap ko kaise KHabar ho gai jalne ki mere
aap ka ghar to mere ghar se bahut aage tha
wo to kahiye ki nigahen nahin lauTin warna
ek manzar pas-e-manzar se bahut aage tha
aap ne pyas ki shiddat nahin dekhi warna
ek ek qatra samundar se bahut aage tha
jaane kis wadi-e-KHamosh mein ru-posh hua
han wahi shaKHs jo lashkar se bahut aage tha
ek ajab Dar meri rag rag mein samaya tha 'shamim'
ek ehsas magar Dar se bahut aage tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.