ab ke to gulistan mein wo daur-e-bahaar aaya
ab ke to gulistāñ meñ vo daur-e-bahār aayā
phūloñ pe udāsī hai kāñToñ pe nikhār aayā
vo apne muqaddar pe rotā hī rahā barsoñ
auroñ kā muqaddar jo pal bhar meñ sañvār aayā
kyā chaal chalī tū ne kyā jaal bichhāyā hai
sayyād mubārak ho ghar baiThe shikār aayā
jis jiit kī ḳhātir maiñ bedār rahā ab tak
ik lamhe kī ġhaflat meñ vo jiit bhī haar aayā
dīvāngī-e-dil kā kyā arz karūñ aalam
maiñ dard ke sahrā meñ ḳhud ko hī pukār aayā
har haal meñ hai mujh ko manzūr ḳhushī un kī
rusvā.ī huī merī un ko to qarār aayā
iflās meñ ghuT ghuT kar dam toḌ diyā jis ne
aaj us pe zamāne kī nafrat ko bhī pyaar aayā
sach kahtā huuñ maiñ 'arshad' aisā bhī huā aksar
ḳhud apnī masarrat pe royā to qarār aayā
ab ke to gulistan mein wo daur-e-bahaar aaya
phulon pe udasi hai kanTon pe nikhaar aaya
wo apne muqaddar pe rota hi raha barson
auron ka muqaddar jo pal bhar mein sanwar aaya
kya chaal chali tu ne kya jal bichhaya hai
sayyaad mubarak ho ghar baiThe shikar aaya
jis jit ki KHatir main bedar raha ab tak
ek lamhe ki ghaflat mein wo jit bhi haar aaya
diwangi-e-dil ka kya arz karun aalam
main dard ke sahra mein KHud ko hi pukar aaya
har haal mein hai mujh ko manzur KHushi un ki
ruswai hui meri un ko to qarar aaya
iflas mein ghuT ghuT kar dam toD diya jis ne
aaj us pe zamane ki nafrat ko bhi pyar aaya
sach kahta hun main 'arshad' aisa bhi hua aksar
KHud apni masarrat pe roya to qarar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.