ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain
ab ke yaaro barkhā-rut ne manzar kyā dikhlā.e haiñ
jalte bujhte chehre haiñ aur maddham maddham saa.e haiñ
aaj bhī sūraj ke bujhte hī halkī gahrī shaam huī
aaj bhī ham ne tanhā ghar meñ añgāre dahkā.e haiñ
kaun kisī kā dukh-sukh bāñTe kaun kisī kī raah take
chāroñ jānib chalte-phirte ḳhud-ġharzī ke saa.e haiñ
un kī yaad meñ pahroñ ronā apnī yahī bas aadat hai
log bhī kaise dīvāne haiñ hameñ hañsāne aa.e haiñ
ham pyāsoñ ke dil meñ aag lagāne kā hai shauq 'hasan'
yā phir bādal aaj kisī kī zulfeñ chhūne aa.e haiñ
ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain
jalte bujhte chehre hain aur maddham maddham sae hain
aaj bhi suraj ke bujhte hi halki gahri sham hui
aaj bhi hum ne tanha ghar mein angare dahkae hain
kaun kisi ka dukh-sukh banTe kaun kisi ki rah take
chaaron jaanib chalte-phirte KHud-gharzi ke sae hain
un ki yaad mein pahron rona apni yahi bas aadat hai
log bhi kaise diwane hain hamein hansane aae hain
hum pyason ke dil mein aag lagane ka hai shauq 'hasan'
ya phir baadal aaj kisi ki zulfen chhune aae hain
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 46)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.