ab KHana-e-dil mein jo makin hai wo nahin hai
ab KHana-e-dil mein jo makin hai wo nahin hai
Daniyal Haider Jafri
MORE BYDaniyal Haider Jafri
ab ḳhāna-e-dil meñ jo makīñ hai vo nahīñ hai
tū soch rahā hai vo yahīñ hai vo nahīñ hai
ai dil tujhe kis tarh maiñ samjhā.ūñ ki tujh ko
jis shaḳhs ke hone kā yaqīñ hai vo nahīñ hai
vo kufr kā 'ālam hai ki lagtā hai kabhī to
jo zaat rag-e-jāñ se qarīñ hai vo nahīñ hai
kyā is pe kaheñ ḳhud ko ki ik 'arse se jis kī
naqsh-e-kaf-e-pā par ye jabīñ hai vo nahīñ hai
kis tarh chalā jā.ūñ tirī ḳhuld meñ vā'iz
go Thiik hai ye ḳhuld-e-barīñ hai vo nahīñ hai
sad-haif ba-sad-nāz gañvāyā mujhe us ne
maiñ to ye samajhtā thā zahīñ hai vo nahīñ hai
kyūñkar nahīñ kartā tū ye taslīm haqīqat
ab vo tirī qismat meñ nahīñ hai vo nahīñ hai
'haidar' vo mirī jaan bahut duur hai tujh se
ab chhoḌ de kahnā vo yahīñ hai vo nahīñ hai
ab KHana-e-dil mein jo makin hai wo nahin hai
tu soch raha hai wo yahin hai wo nahin hai
ai dil tujhe kis tarh main samjhaun ki tujh ko
jis shaKHs ke hone ka yaqin hai wo nahin hai
wo kufr ka 'alam hai ki lagta hai kabhi to
jo zat rag-e-jaan se qarin hai wo nahin hai
kya is pe kahen KHud ko ki ek 'arse se jis ki
naqsh-e-kaf-e-pa par ye jabin hai wo nahin hai
kis tarh chala jaun teri KHuld mein wa'iz
go Thik hai ye KHuld-e-barin hai wo nahin hai
sad-haif ba-sad-naz ganwaya mujhe us ne
main to ye samajhta tha zahin hai wo nahin hai
kyunkar nahin karta tu ye taslim haqiqat
ab wo teri qismat mein nahin hai wo nahin hai
'haidar' wo meri jaan bahut dur hai tujh se
ab chhoD de kahna wo yahin hai wo nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.