ab khilaunoñ se ghar sajātā huuñ
kisht-e-dil meñ ġhazal ugātā huuñ
chehra-e-ġham udaas hai jab se
ḳhalvat-e-shab meñ gungunātā huuñ
zindagī haath thaam letī hai
jab kabhī ḳhud se ruuTh jaatā huuñ
oḌh kar be-ḳhudī kā sabz ġhilāf
zindagī kā surāġh paatā huuñ
koī mujh ko surāġh de merā
dar-ba-dar ye sadā lagātā huuñ
qatra-e-ḳhūñ qalam se Tapke hai
dasht meñ phuul jab khilātā huuñ
apnī kuchh bhī ḳhabar nahīñ rahtī
lamha lamha maiñ TuuT jaatā huuñ
mujh ko shikva nahīñ kisī se koī
aa.ina ḳhud ko ab dikhātā huuñ
maiñ bhī pairāhan-e-ġhazal meñ 'nāz'
apnī rūdād-e-ġham sunātā huuñ
ab khilaunon se ghar sajata hun
kisht-e-dil mein ghazal ugata hun
chehra-e-gham udas hai jab se
KHalwat-e-shab mein gungunata hun
zindagi hath tham leti hai
jab kabhi KHud se ruTh jata hun
oDh kar be-KHudi ka sabz ghilaf
zindagi ka suragh pata hun
koi mujh ko suragh de mera
dar-ba-dar ye sada lagata hun
qatra-e-KHun qalam se Tapke hai
dasht mein phul jab khilata hun
apni kuchh bhi KHabar nahin rahti
lamha lamha main TuT jata hun
mujh ko shikwa nahin kisi se koi
aaina KHud ko ab dikhata hun
main bhi pairahan-e-ghazal mein 'naz'
apni rudad-e-gham sunata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.