ab ki bezar hi lauT aae hain gulzaron se
ab kī bezār hī lauT aa.e haiñ gulzāroñ se
rang hī le gayā koī mere nazzāroñ se
ab ye aalam hai sunāte hue Darte haiñ naved
baañT lete the kabhī dard bhī ham yāroñ se
ḳhud ko phir kis liye batlāyā thā chāra-farmā
itnā parhez agar thā tujhe bīmāroñ se
havas-e-gul ne ujāḌā thā hamārā gulshan
haa.e bekār ulajhte rahe ham ḳhāroñ se
rāste aur bhī manzil kī taraf jaate the
ham magar sar hī laḌāte rahe dīvāroñ se
aate aate mire dil ko bhī sukūñ aa jaatā
na kahā hotā kabhī haal jo ġham-ḳhvāroñ se
ab ki bezar hi lauT aae hain gulzaron se
rang hi le gaya koi mere nazzaron se
ab ye aalam hai sunate hue Darte hain nawed
banT lete the kabhi dard bhi hum yaron se
KHud ko phir kis liye batlaya tha chaara-farma
itna parhez agar tha tujhe bimaron se
hawas-e-gul ne ujaDa tha hamara gulshan
hae bekar ulajhte rahe hum KHaron se
raste aur bhi manzil ki taraf jate the
hum magar sar hi laDate rahe diwaron se
aate aate mere dil ko bhi sukun aa jata
na kaha hota kabhi haal jo gham-KHwaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.