ab kisi par nazar nahin jati
ab kisī par nazar nahīñ jaatī
ek sūrat magar nahīñ jaatī
ye sadā-e-faqīr us dil tak
jaane kyā soch kar nahīñ jaatī
vo guzartī zarūr hai dil se
par vo dil se guzar nahīñ jaatī
chhoḌ aa.e haiñ vo galī lekin
vo galī chhoḌ kar nahīñ jaatī
ek lamha kabhī nahīñ aatā
ik ghaḌī 'umr-bhar nahīñ jaatī
saath chaltī hai saath chalne tak
Therne par Thahar nahīñ jaatī
ek āvāz ek hī āvāz
jo kabhī be-asar nahīñ jaatī
'ishq ke saath 'aql bhī 'momin'
ab kisī aur dar nahīñ jaatī
ab kisi par nazar nahin jati
ek surat magar nahin jati
ye sada-e-faqir us dil tak
jaane kya soch kar nahin jati
wo guzarti zarur hai dil se
par wo dil se guzar nahin jati
chhoD aae hain wo gali lekin
wo gali chhoD kar nahin jati
ek lamha kabhi nahin aata
ek ghaDi 'umr-bhar nahin jati
sath chalti hai sath chalne tak
Therne par Thahar nahin jati
ek aawaz ek hi aawaz
jo kabhi be-asar nahin jati
'ishq ke sath 'aql bhi 'momin'
ab kisi aur dar nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.