ab kisi sar mein fasadat ki uftad na ho
ab kisī sar meñ fasādāt kī uftād na ho
aish se raat guzar jaa.e tirī yaad na ho
mujh ko sahrā-e-arab qais kā taabe na kare
mere hoñToñ pe koī lailavī fariyād na ho
un siyah zulfoñ ko allāh salāmat rakkhe
dām-e-nau shahr-e-dil-āvez meñ ījād na ho
rasm-e-iz.hār-e-tamanna hī miTā dī jaa.e
koī aañsū tirī dahlīz pe barbād na ho
merī hastī ko kabhī hast kī manzil na mile
un laboñ se bhī mire baare meñ irshād na ho
aaj kī shab ho mujhe hosh se āzādī nasīb
aaj kī shab to mire dard meñ imdād na ho
thā baḌā zo'm mire dil ko tire pahlū meñ
aql sau baar ye kahtī bhī rahī shaad na ho
ab kisi sar mein fasadat ki uftad na ho
aish se raat guzar jae teri yaad na ho
mujh ko sahra-e-arab qais ka tabe na kare
mere honTon pe koi lailawi fariyaad na ho
un siyah zulfon ko allah salamat rakkhe
dam-e-nau shahr-e-dil-awez mein ijad na ho
rasm-e-izhaar-e-tamanna hi miTa di jae
koi aansu teri dahliz pe barbaad na ho
meri hasti ko kabhi hast ki manzil na mile
un labon se bhi mere bare mein irshad na ho
aaj ki shab ho mujhe hosh se aazadi nasib
aaj ki shab to mere dard mein imdad na ho
tha baDa zo'm mere dil ko tere pahlu mein
aql sau bar ye kahti bhi rahi shad na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.