ab kisi se bhi kisi ka nahin rishta shayad
ab kisī se bhī kisī kā nahīñ rishta shāyad
chand lamhoñ kī hai mehmān ye duniyā shāyad
lā.ūñ maazī ko gavāhī ke liye ab kaise
aa.ina bhuul gayā hai mirā chehra shāyad
ye bhañvar hai ki dahan khol rahā hai dariyā
sirf maiñ hī nahīñ paanī bhī hai pyāsā shāyad
shahr ab shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah lagtā hai
chehra chehra hai yahāñ jism kā katba shāyad
chāñd har raat ubhartā hai usī jānib se
rāsta dekh rahā hai vo darīcha shāyad
tiir jaltī huī kirnoñ ke 'qamar' aate haiñ
ab bahut paas hai sūraj kā jazīra shāyad
ab kisi se bhi kisi ka nahin rishta shayad
chand lamhon ki hai mehman ye duniya shayad
laun mazi ko gawahi ke liye ab kaise
aaina bhul gaya hai mera chehra shayad
ye bhanwar hai ki dahan khol raha hai dariya
sirf main hi nahin pani bhi hai pyasa shayad
shahr ab shahr-e-KHamoshan ki tarah lagta hai
chehra chehra hai yahan jism ka katba shayad
chand har raat ubharta hai usi jaanib se
rasta dekh raha hai wo daricha shayad
tir jalti hui kirnon ke 'qamar' aate hain
ab bahut pas hai suraj ka jazira shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.