ab kisi se nahin milunga main
ab kisī se nahīñ milūñgā maiñ
raat ho din yahīñ rahūñgā maiñ
is liye bolne nahīñ dete
jānte haiñ ki sach kahūñgā maiñ
baat terī sunūñgā achchhe se
par bharosā nahīñ karūñgā maiñ
phuul banñā agar nasīb huā
tere āñgan meñ hī khilūñgā maiñ
gar nahīñ dil lagā kitāboñ meñ
lauT aanā yahīñ milūñgā maiñ
bas duā aur salām hī kiije
haal pūchhā to ro paḌūñgā maiñ
mujh pe majnūñ kā saayā paḌ gayā hai
ab kisī kī nahīñ sunūñgā maiñ
ab kisi se nahin milunga main
raat ho din yahin rahunga main
is liye bolne nahin dete
jaante hain ki sach kahunga main
baat teri sununga achchhe se
par bharosa nahin karunga main
phul banna agar nasib hua
tere aangan mein hi khilunga main
gar nahin dil laga kitabon mein
lauT aana yahin milunga main
bas dua aur salam hi kije
haal puchha to ro paDunga main
mujh pe majnun ka saya paD gaya hai
ab kisi ki nahin sununga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.