ab kisi tarh bhi hogi na sahar jaane de
ab kisī tarh bhī hogī na sahar jaane de
radd-e-ḳhurshīd hai sham'oñ kā nagar jaane de
Dah ga.e saare gharauñde jo banā.e the kabhī
sīpiyāñ ret se bhar jaatī haiñ bhar jaane de
choT par choT lagāne se thakegā tū bhī
zarā sustā le zarā zaḳhm to bhar jaane de
uḌ ga.iiñ kaise chhateñ gul hue kis tarh charāġh
sab khulegā zarā tūfāñ to guzar jaane de
dekhnā kitne sadaf hoñge kanār-e-dil par
ye jo afkār kā dariyā hai utar jaane de
ab kisi tarh bhi hogi na sahar jaane de
radd-e-KHurshid hai sham'on ka nagar jaane de
Dah gae sare gharaunde jo banae the kabhi
sipiyan ret se bhar jati hain bhar jaane de
choT par choT lagane se thakega tu bhi
zara susta le zara zaKHm to bhar jaane de
uD gain kaise chhaten gul hue kis tarh charagh
sab khulega zara tufan to guzar jaane de
dekhna kitne sadaf honge kanar-e-dil par
ye jo afkar ka dariya hai utar jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.