ab koi bhi to aasra na raha
ab koī bhī to aasrā na rahā
maiñ huuñ jis kā vahī mirā na rahā
mujh ko lagtā rahā vo saath meñ hai
saath meñ chāhe vo rahā na rahā
aap ko jab se maiñ ne dekhā hai
apne hī dil pe bas mirā na rahā
vo mile is qadar tapāk ke saath
muddatoñ jin se silsila na rahā
husn par naaz karne vaale sun
umr bhar koī ek sā na rahā
tab mujhe pūchhne ko vo aa.e
dard jab qābil-e-davā na rahā
yaad kartā hai ab bhī us ko 'salīm'
jis se koī bhī vāsta na rahā
ab koi bhi to aasra na raha
main hun jis ka wahi mera na raha
mujh ko lagta raha wo sath mein hai
sath mein chahe wo raha na raha
aap ko jab se main ne dekha hai
apne hi dil pe bas mera na raha
wo mile is qadar tapak ke sath
muddaton jin se silsila na raha
husn par naz karne wale sun
umr bhar koi ek sa na raha
tab mujhe puchhne ko wo aae
dard jab qabil-e-dawa na raha
yaad karta hai ab bhi us ko 'salim'
jis se koi bhi wasta na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.