ab koi chaara-saz hai bhi nahin
ab koī chāra-sāz hai bhī nahīñ
chhoḌo umr-e-darāz hai bhī nahīñ
sochtā huuñ batā hī duuñ sab ko
ab tirā raaz raaz hai bhī nahīñ
miir kī is ġhazal meñ bas tum ho
dūsrā nīm-bāz hai bhī nahīñ
aap jab chāheñ toḌ sakte haiñ
dil pe ab mujh ko naaz hai bhī nahīñ
ġham ġhalat ho ga.e hoñ yā maulā
varna ab to majāz hai bhī nahīñ
zindagī ḳhud riyāz hai apnā
aur koī riyāz hai bhī nahīñ
chāra-sāzo tasalliyāñ kar lo
dil meñ ab koī raaz hai bhī nahīñ
ab koi chaara-saz hai bhi nahin
chhoDo umr-e-daraaz hai bhi nahin
sochta hun bata hi dun sab ko
ab tera raaz raaz hai bhi nahin
mir ki is ghazal mein bas tum ho
dusra nim-baz hai bhi nahin
aap jab chahen toD sakte hain
dil pe ab mujh ko naz hai bhi nahin
gham ghalat ho gae hon ya maula
warna ab to majaz hai bhi nahin
zindagi KHud riyaz hai apna
aur koi riyaz hai bhi nahin
chaara-sazo tasalliyan kar lo
dil mein ab koi raaz hai bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.