ab koi chiz bais-e-rahat nahin mujhe
ab koī chiiz bā.is-e-rāhat nahīñ mujhe
yuuñ zindagī se koī adāvat nahīñ mujhe
rahtā huuñ ajnabī sā gul-o-gulsitāñ meñ maiñ
rang-o-bahār se koī raġhbat nahīñ mujhe
girtī ho jis pe barq taḌap kar na ham-nashīñ
us āshiyāñ se koī bhī nisbat nahīñ mujhe
rah rah ke yaad aatī haiñ terī navāzisheñ
ai chashm-e-nāz tujh se shikāyat nahīñ mujhe
letā huuñ chhup ke naam tirā hasratoñ se maiñ
phir se machal na jaa.eñ ye hasrat nahīñ mujhe
aadat sī ho ga.ī hai taḌapne kī ai 'nishā'
koī bhī hādisa ho qayāmat nahīñ mujhe
ab koi chiz bais-e-rahat nahin mujhe
yun zindagi se koi adawat nahin mujhe
rahta hun ajnabi sa gul-o-gulsitan mein main
rang-o-bahaar se koi raghbat nahin mujhe
girti ho jis pe barq taDap kar na ham-nashin
us aashiyan se koi bhi nisbat nahin mujhe
rah rah ke yaad aati hain teri nawazishen
ai chashm-e-naz tujh se shikayat nahin mujhe
leta hun chhup ke nam tera hasraton se main
phir se machal na jaen ye hasrat nahin mujhe
aadat si ho gai hai taDapne ki ai 'nisha'
koi bhi hadisa ho qayamat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.