ab koi gham-gusar hamara nahin raha
ab koī ġham-gusār hamārā nahīñ rahā
duniyā ko e'tibār hamārā nahīñ rahā
is fart-e-ġham meñ ḳhuun ke aañsū Tapak paḌe
ab dil bhī rāzdār hamārā nahīñ rahā
us kī huzūr pīr-e-muġhāñ meñ hai manzilat
jo ahd-e-pā.edār hamārā nahīñ rahā
har daaġh ubhar ke zaḳhm banā zaḳhm rashk-e-gul
dil mā.il-e-bahār hamārā nahīñ rahā
ye hai ma.āl-e-sohbat-e-zāhid janāb-e-dil
rindoñ meñ ab shumār hamārā nahīñ rahā
ab koi gham-gusar hamara nahin raha
duniya ko e'tibar hamara nahin raha
is fart-e-gham mein KHun ke aansu Tapak paDe
ab dil bhi raazdar hamara nahin raha
us ki huzur pir-e-mughan mein hai manzilat
jo ahd-e-paedar hamara nahin raha
har dagh ubhar ke zaKHm bana zaKHm rashk-e-gul
dil mail-e-bahaar hamara nahin raha
ye hai maal-e-sohbat-e-zahid janab-e-dil
rindon mein ab shumar hamara nahin raha
- Book : Nuqush 83, 84 (Pg. 99 (e)102 )
- Author : Mohammad Tufail
- Publication : Idara Farogh-e-Urdu Lahauri (Nuqush 83, 84)
- Edition : Nuqush 83, 84
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.