ab koi jor kisi taur na sahna hoga
ab koī jor kisī taur na sahnā hogā
jo bhī guzregī sar-e-dār use kahnā hogā
tiir ban kar maiñ kisī vaqt bhī chal jā.ūñgā
rif.atoñ ko had-e-mohtāt meñ rahnā hogā
us ke paanī meñ abhī ātish-e-tāsīr nahīñ
ashk-e-hasrat ko abhī aañkh meñ rahnā hogā
ahl-e-sāhil se kaho apnā mudāvā kar leñ
ab kināroñ pe bhī dariyāoñ ko bahnā hogā
umr bhar mere badan par thā bagūloñ kā libās
kisī rahrav ne ye malbūs na pahnā hogā
kisī majnūñ ko na ho ābla-pā.ī kā gilā
apnī auqāt meñ sahrāoñ ko rahnā hogā
maiñ guzarte hue lamhoñ kā shikārī huuñ 'zahīr'
zindagī ko mire fitrāk meñ rahnā hogā
ab koi jor kisi taur na sahna hoga
jo bhi guzregi sar-e-dar use kahna hoga
tir ban kar main kisi waqt bhi chal jaunga
rifaton ko had-e-mohtat mein rahna hoga
us ke pani mein abhi aatish-e-tasir nahin
ashk-e-hasrat ko abhi aankh mein rahna hoga
ahl-e-sahil se kaho apna mudawa kar len
ab kinaron pe bhi dariyaon ko bahna hoga
umr bhar mere badan par tha bagulon ka libas
kisi rahraw ne ye malbus na pahna hoga
kisi majnun ko na ho aabla-pai ka gila
apni auqat mein sahraon ko rahna hoga
main guzarte hue lamhon ka shikari hun 'zahir'
zindagi ko mere fitrak mein rahna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.