ab kya bataun shahr ye kaisa laga mujhe
ab kyā batā.ūñ shahr ye kaisā lagā mujhe
har shaḳhs apne ḳhuun kā pyāsā lagā mujhe
ḳhafgī ho yā jafā.eñ hoñ yā mehrbāniyāñ
har rañg chashm-e-nāz kā achchhā lagā mujhe
dekhā jo ġhaur se to vo jhoñkā havā kā thā
tum ḳhud hī chham se aa.ī ho aisā lagā mujhe
vo shaḳhs jis se pahle kabhī āshnā na thā
nazdīk se jo dekhā to apnā lagā mujhe
yuuñ bhī milegī manzil-e-jānāñ yaqīñ na thā
vo sāmne the phir bhī ik sapnā lagā mujhe
ab kya bataun shahr ye kaisa laga mujhe
har shaKHs apne KHun ka pyasa laga mujhe
KHafgi ho ya jafaen hon ya mehrbaniyan
har rang chashm-e-naz ka achchha laga mujhe
dekha jo ghaur se to wo jhonka hawa ka tha
tum KHud hi chham se aai ho aisa laga mujhe
wo shaKHs jis se pahle kabhi aashna na tha
nazdik se jo dekha to apna laga mujhe
yun bhi milegi manzil-e-jaanan yaqin na tha
wo samne the phir bhi ek sapna laga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.