ab kya misal dun ruKH-e-raushan-jamal ki
ab kyā misāl duuñ ruḳh-e-raushan-jamāl kī
auqāt kuchh nahīñ hai badaḳhshāñ ke laal kī
būḌhe daraḳht par bhī hai mumkin abhī samar
bas chāhiye nigāh zarā dekh-bhāl kī
us ke savāl par mujhe honā thā lā-javāb
hurmat use aziiz thī apne savāl kī
kaise kahūñ ki vasl kā qissa hī ḳhuub thā
rūdād-e-hijr bhī to nahīñ kam kamāl kī
unvān muḳhtalif the magar qisse ek se
har zindagī kitāb thī hijr-o-visāl kī
ab kya misal dun ruKH-e-raushan-jamal ki
auqat kuchh nahin hai badaKHshan ke lal ki
buDhe daraKHt par bhi hai mumkin abhi samar
bas chahiye nigah zara dekh-bhaal ki
us ke sawal par mujhe hona tha la-jawab
hurmat use aziz thi apne sawal ki
kaise kahun ki wasl ka qissa hi KHub tha
rudad-e-hijr bhi to nahin kam kamal ki
unwan muKHtalif the magar qisse ek se
har zindagi kitab thi hijr-o-visal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.