ab kyun harim-e-naz mein sarmastiyan nahin
ab kyuuñ harīm-e-nāz meñ sarmastiyāñ nahīñ
ham vo nahīñ ki aap meñ vo shoḳhiyāñ nahīñ
dil hī nahīñ jo soz-e-junūñ se tapāñ nahīñ
kyā zindagī jo vaqf-e-ġham-e-jāvedāñ nahīñ
har-vaqt ab to jaib-o-garebāñ haiñ chaak chaak
ehsās ehtimām-e-bahār-o-ḳhizāñ nahīñ
ajzā-e-hast-o-būd mohabbat meñ kho ga.e
ik vahm hai so us kā bhī koī gumāñ nahīñ
kaunain mere panja-e-vahshat kī zad meñ haiñ
mere junūñ kī qaid makāñ lā-makāñ nahīñ
go ārzū-e-jur.at-e-rindāna hai magar
hāsil ba-qadr zauq ma-e-arġhavāñ nahīñ
maiñ pā.emāl-e-vāda-e-fardā zarūr huuñ
lekin fareb-ḳhurda-e-nāz-e-butāñ nahīñ
ifshā-e-rāz-e-ishq kā azm-e-buland hai
'maz.har' ab aur tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ nahīñ
ab kyun harim-e-naz mein sarmastiyan nahin
hum wo nahin ki aap mein wo shoKHiyan nahin
dil hi nahin jo soz-e-junun se tapan nahin
kya zindagi jo waqf-e-gham-e-jawedan nahin
har-waqt ab to jaib-o-gareban hain chaak chaak
ehsas ehtimam-e-bahaar-o-KHizan nahin
ajza-e-hast-o-bud mohabbat mein kho gae
ek wahm hai so us ka bhi koi guman nahin
kaunain mere panja-e-wahshat ki zad mein hain
mere junun ki qaid makan la-makan nahin
go aarzu-e-jurat-e-rindana hai magar
hasil ba-qadr zauq ma-e-arghawan nahin
main paemal-e-wada-e-farda zarur hun
lekin fareb-KHurda-e-naz-e-butan nahin
ifsha-e-raaz-e-ishq ka azm-e-buland hai
'mazhar' ab aur taqat-e-zabt-e-fughan nahin
- Book : Khamyazah (Pg. 53)
- Author : Sayed Mazhar gilani
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.