ab lauT ke wapas mujhe jaana bhi nahin hai
ab lauT ke vāpas mujhe jaanā bhī nahīñ hai
vo ruuTh gayā hai to manānā bhī nahīñ hai
sach hai ki nigāhoñ se girānā bhī nahīñ hai
palkoñ pe magar us ko biThānā bhī nahīñ hai
dāman pe koī daaġh lagānā bhī nahīñ hai
dāman ko gunāhoñ se bachānā bhī nahīñ hai
ġhairat kī koī kis tarah ummīd rakhe ab
sab jānte haiñ ab vo zamāna bhī nahīñ hai
ta.amīl kisī hukm kī hargiz na kareñge
aur pesh-e-sitam sar ko jhukānā bhī nahīñ hai
ik baar chalā jaa.e jo dāman ko chhuḌā kar
bhūle se kabhī us ko bulānā bhī nahīñ hai
barsāt ne ye hukm havāoñ ko diyā thā
hai aag jahāñ par vahāñ jaanā bhī nahīñ hai
par aañkh se Tapkā.eñ lahū kis liye 'shātir'
jab ahd-e-vafā ham ko nibhānā bhī nahīñ hai
ab lauT ke wapas mujhe jaana bhi nahin hai
wo ruTh gaya hai to manana bhi nahin hai
sach hai ki nigahon se girana bhi nahin hai
palkon pe magar us ko biThana bhi nahin hai
daman pe koi dagh lagana bhi nahin hai
daman ko gunahon se bachana bhi nahin hai
ghairat ki koi kis tarah ummid rakhe ab
sab jaante hain ab wo zamana bhi nahin hai
tamil kisi hukm ki hargiz na karenge
aur pesh-e-sitam sar ko jhukana bhi nahin hai
ek bar chala jae jo daman ko chhuDa kar
bhule se kabhi us ko bulana bhi nahin hai
barsat ne ye hukm hawaon ko diya tha
hai aag jahan par wahan jaana bhi nahin hai
par aankh se Tapkaen lahu kis liye 'shatir'
jab ahd-e-wafa hum ko nibhana bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.