ab main ashaar ke pairae mein Dhal jaunga
ab maiñ ash'ār ke pairā.e meñ Dhal jā.ūñgā
varna is raushnī-e-tab’ se jal jā.ūñgā
baḳhshiye mujh ko ye pagDanDī ġhanīmat hai mujhe
shāh-rāhoñ pe chalūñgā to kuchal jā.ūñgā
apne saa.e se tasādum na kahīñ ho jaa.e
soch rakkhā hai ki paTrī hī badal jā.ūñgā
merī ḳhvāhish ko to ḳhurshīd bhī pāsang nahīñ
ye na samjho ki sitāroñ se bahal jā.ūñgā
ai 'muzaffar' mire ahbāb ko ḳhush-fahmī hai
jaise maiñ un ke sañbhāle se sañbhal jā.ūñgā
ab main ash'ar ke pairae mein Dhal jaunga
warna is raushni-e-tab’ se jal jaunga
baKHshiye mujh ko ye pagDanDi ghanimat hai mujhe
shah-rahon pe chalunga to kuchal jaunga
apne sae se tasadum na kahin ho jae
soch rakkha hai ki paTri hi badal jaunga
meri KHwahish ko to KHurshid bhi pasang nahin
ye na samjho ki sitaron se bahal jaunga
ai 'muzaffar' mere ahbab ko KHush-fahmi hai
jaise main un ke sanbhaale se sanbhal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.