ab main hun aur ek zat hai jalwe hain na parde
ab main hun aur ek zat hai jalwe hain na parde
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
ab maiñ huuñ aur ik zaat hai jalve haiñ na parde
ai kaash ḳhudā sab ko ye taufīq-e-nazar de
ai ḳhāliq-e-ġham mujh ko vahī dīda-e-tar de
in ḳhaak ke zarroñ ko bhī jo tāb-e-guhar de
uThtī hai sadā dil se to kho jaatā huuñ ḳhud meñ
detā hai kise kaun sadā koī ḳhabar de
us shām-e-judā.ī ke tasadduq mah-o-anjum
jis shām-e-judā.ī ko ḳhud āvāz sahar de
ḳhud hāsil-e-mai-ḳhāna-e-kaunain jo ban jaa.e
yā-rab mujhe vo tishnagī-e-fikr-o-nazar de
vaañ husn ko ye shauq ki parda rahe qaa.em
yaañ ishq ko ye dhun mujhe apnā hī sā kar de
ai husn ba-yak-vaqt tirā jalva-o-parda
ye raaz koī ahl-e-junūñ faash na kar de
har zarra-e-ālam ne diyā dars ye mujh ko
jo hāmil-e-jalva haiñ vahī haiñ tire parde
āñkhoñ ko to baḳhshī hai zabāñ tū ne ġham-e-ishq
ab zauq-e-samā.at ko bhī ehsās-e-nazar de
ye rāh-e-mohabbat hai qadam uTh nahīñ sakte
jab tak unheñ manzil hī na ḳhud izn-e-safar de
har rang kī saaqī tire maiḳhāne meñ pī lī
ab to mirā sāġhar mai-e-be-rang se bhar de
ai kaash 'bashīr' aap ko hāsil ho ye nisbat
har tār-e-nafas tār-e-rag-e-jāñ kī ḳhabar de
ab main hun aur ek zat hai jalwe hain na parde
ai kash KHuda sab ko ye taufiq-e-nazar de
ai KHaliq-e-gham mujh ko wahi dida-e-tar de
in KHak ke zarron ko bhi jo tab-e-guhar de
uThti hai sada dil se to kho jata hun KHud mein
deta hai kise kaun sada koi KHabar de
us sham-e-judai ke tasadduq mah-o-anjum
jis sham-e-judai ko KHud aawaz sahar de
KHud hasil-e-mai-KHana-e-kaunain jo ban jae
ya-rab mujhe wo tishnagi-e-fikr-o-nazar de
wan husn ko ye shauq ki parda rahe qaem
yan ishq ko ye dhun mujhe apna hi sa kar de
ai husn ba-yak-waqt tera jalwa-o-parda
ye raaz koi ahl-e-junun fash na kar de
har zarra-e-alam ne diya dars ye mujh ko
jo hamil-e-jalwa hain wahi hain tere parde
aankhon ko to baKHshi hai zaban tu ne gham-e-ishq
ab zauq-e-samaat ko bhi ehsas-e-nazar de
ye rah-e-mohabbat hai qadam uTh nahin sakte
jab tak unhen manzil hi na KHud izn-e-safar de
har rang ki saqi tere maiKHane mein pi li
ab to mera saghar mai-e-be-rang se bhar de
ai kash 'bashir' aap ko hasil ho ye nisbat
har tar-e-nafas tar-e-rag-e-jaan ki KHabar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.