ab main KHud ko aazmana chahti hun
ab maiñ ḳhud ko āzmānā chāhtī huuñ
ġham meñ khul kar muskurānā chāhtī huuñ
ye tamāsha bhī dikhānā chāhtī huuñ
aag paanī meñ lagānā chāhtī huuñ
hijratoñ kā bojh ab uThtā nahīñ hai
mustaqil koī Thikānā chāhtī huuñ
dushmanoñ kā imtihāñ maiñ le chukī huuñ
dostoñ ko āzmānā chāhtī huuñ
mujh ko 'zīnat' sone detī hī nahīñ haiñ
un kī yādoñ ko bhulānā chāhtī huuñ
ab main KHud ko aazmana chahti hun
gham mein khul kar muskurana chahti hun
ye tamasha bhi dikhana chahti hun
aag pani mein lagana chahti hun
hijraton ka bojh ab uThta nahin hai
mustaqil koi Thikana chahti hun
dushmanon ka imtihan main le chuki hun
doston ko aazmana chahti hun
mujh ko 'zinat' sone deti hi nahin hain
un ki yaadon ko bhulana chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.