ab masiha koi bimar na hone pae
ab masīhā koī bīmār na hone paa.e
gul faqat gul hī rahe ḳhaar na hone paa.e
tere kāñdhe pe mohabbat ka Tikā hai parcham
jaan be-shak na rahe haar na hone paa.e
dil ke par noch le varna na rahegā terā
fāḳhta uḌne ko tayyār na hone paa.e
'ishq taufīq hai jab tak ki rahe dil meñ qaid
lab pe qaabū rahe iz.hār na hone paa.e
ek dhoke pe Tikī hai tirī duniyā mālik
ashk ko rok le angār na hone paa.e
ab masiha koi bimar na hone pae
gul faqat gul hi rahe KHar na hone pae
tere kandhe pe mohabbat ka Tika hai parcham
jaan be-shak na rahe haar na hone pae
dil ke par noch le warna na rahega tera
faKHta uDne ko tayyar na hone pae
'ishq taufiq hai jab tak ki rahe dil mein qaid
lab pe qabu rahe izhaar na hone pae
ek dhoke pe Tiki hai teri duniya malik
ashk ko rok le angar na hone pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.