ab mere liye aankh teri nam hai mujhe kya
ab mere liye aañkh terī nam hai mujhe kyā
ab tark-e-marāsim kā tujhe ġham hai mujhe kyā
is shahr-e-nigārāñ meñ sar-e-shām abhī tak
phūloñ se mahaktā huā mausam hai mujhe kyā
raushan thā jo barsoñ se diyā merī vafā kā
ab tere shabistāñ meñ vo maddham hai mujhe kyā
phir tere laboñ par hai vahī rang hinā kā
shāne pe tire zulf bhī barham hai mujhe kyā
ye fasl-e-bahārāñ ye junūñ-ḳhezī-e-mausam
ab dil meñ tirā ġham bhī bahut kam hai mujhe kyā
ik dasht-e-tahayyur kā samāñ hai mire aage
manzil kā nishāñ aaj bhī mub.ham hai mujhe kyā
maiñ Dhaltī huī dhuup meñ saa.e kī tarah huuñ
tū nik.hat-e-gul husn-e-mujassam hai mujhe kyā
ab mere liye aankh teri nam hai mujhe kya
ab tark-e-marasim ka tujhe gham hai mujhe kya
is shahr-e-nigaran mein sar-e-sham abhi tak
phulon se mahakta hua mausam hai mujhe kya
raushan tha jo barson se diya meri wafa ka
ab tere shabistan mein wo maddham hai mujhe kya
phir tere labon par hai wahi rang hina ka
shane pe tere zulf bhi barham hai mujhe kya
ye fasl-e-bahaaran ye junun-KHezi-e-mausam
ab dil mein tera gham bhi bahut kam hai mujhe kya
ek dasht-e-tahayyur ka saman hai mere aage
manzil ka nishan aaj bhi mubham hai mujhe kya
main Dhalti hui dhup mein sae ki tarah hun
tu nikhat-e-gul husn-e-mujassam hai mujhe kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.