ab mohabbat ka eatibar nahin
ab mohabbat kā e.atibār nahīñ
fā.ede kā ye kārobār nahīñ
aap apnī to kuchh ḳhabar liije
maiñ ne maanā mujhe qarār nahīñ
naaz mujh ko nahīñ vafā par kuchh
vo jafā par bhī sharmsār nahīñ
ġhuncha-o-gul bahār ḳhushbū rang
kaun tum par huā nisār nahīñ
apnā mujrim samajhte vo mujh ko
baḳht itnā bhī sāzgār nahīñ
jis ko apnā samajhtā huuñ ab tak
us ke ġhairoñ meñ bhī shumār nahīñ
pūchh le kuchh 'nadīm' ke ahvāl
vo to itnā bhī vaz.a-dār nahīñ
ab mohabbat ka eatibar nahin
faede ka ye karobar nahin
aap apni to kuchh KHabar lije
main ne mana mujhe qarar nahin
naz mujh ko nahin wafa par kuchh
wo jafa par bhi sharmsar nahin
ghuncha-o-gul bahaar KHushbu rang
kaun tum par hua nisar nahin
apna mujrim samajhte wo mujh ko
baKHt itna bhi sazgar nahin
jis ko apna samajhta hun ab tak
us ke ghairon mein bhi shumar nahin
puchh le kuchh 'nadim' ke ahwal
wo to itna bhi waza-dar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.