ab mujhse wajh-e-girya-e-paiham na puchhiye
ab mujh se vaj.h-e-girya-e-paiham na pūchhiye
sharminda hoñge aap mirā ġham na pūchhiye
maiñ ḳhud bhī jāntā nahīñ maiñ chāhtā huuñ kyā
mujh se mirā taḳhayyul-e-mub.ham na pūchhiye
apnī tabāhiyoñ kā kahīñ zikr kar na duuñ
lillāh vaj.h-e-girya-e-shabnam na pūchhiye
jab iltifāt-e-husn se thī bārish-e-karam
sarmastī-o-ḳhudī kā vo aalam na pūchhiye
'sāqib' ke kuchh aqā.ed-e-mashrab hī aur haiñ
us ne piyā hai kis tarah zamzam na pūchhiye
ab mujh se wajh-e-girya-e-paiham na puchhiye
sharminda honge aap mera gham na puchhiye
main KHud bhi jaanta nahin main chahta hun kya
mujh se mera taKHayyul-e-mubham na puchhiye
apni tabahiyon ka kahin zikr kar na dun
lillah wajh-e-girya-e-shabnam na puchhiye
jab iltifat-e-husn se thi barish-e-karam
sarmasti-o-KHudi ka wo aalam na puchhiye
'saqib' ke kuchh aqaed-e-mashrab hi aur hain
us ne piya hai kis tarah zamzam na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.