ab mujhe aur kya KHabar dega
ab mujhe aur kyā ḳhabar degā
vo añdheroñ ko raat kar degā
muskurāhaT vo degā aahaT bhar
aur udāsī vo chāñd bhar degā
ḳhaak bikhrā ke merī chāroñ taraf
vo mujhe āḳhirī ḳhabar degā
sabz ko surḳh kab karegā karīm
zard hāthoñ meñ kab samar degā
phir sunā hai vo aane vaalā hai
phir udāsī vo rāt-bhar degā
dhuul rakh kar vo merī palkoñ par
raunaq-e-chashm mo'atabar degā
mohlat-e-shauq-e-bāl-o-par kaisī
vo karāñ-tā-karāñ safar degā
sar-e-tahrīr-e-lauh-e-shām-o-shafaq
ramz mujh ko bayān kar degā
jaan samjhe nahīñ ho 'ajmal' ko
jaan māñgo to apnā sar degā
ab mujhe aur kya KHabar dega
wo andheron ko raat kar dega
muskurahaT wo dega aahaT bhar
aur udasi wo chand bhar dega
KHak bikhra ke meri chaaron taraf
wo mujhe aaKHiri KHabar dega
sabz ko surKH kab karega karim
zard hathon mein kab samar dega
phir suna hai wo aane wala hai
phir udasi wo raat-bhar dega
dhul rakh kar wo meri palkon par
raunaq-e-chashm mo'atabar dega
mohlat-e-shauq-e-baal-o-par kaisi
wo karan-ta-karan safar dega
sar-e-tahrir-e-lauh-e-sham-o-shafaq
ramz mujh ko bayan kar dega
jaan samjhe nahin ho 'ajmal' ko
jaan mango to apna sar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.