ab mujhe bhul koi baat na kar jaane de
ab mujhe bhuul koī baat na kar jaane de
biite lamhoñ ke manāzir ko bikhar jaane de
maiñ ne kuchh kaam zarūrī abhī nimTāne haiñ
terā ehsān mire yaar agar jaane de
raat gahrī hai yahāñ tū bhī hai sannāTā bhī
ham charāġhoñ ko añdheroñ meñ utar jaane de
maiñ agar lauT bhī aayā to mujhe mat milnā
is ḳharābe ko mirī jaan sudhar jaane de
tez bārish hai ki saḌkoñ pe bhī paanī hai bahut
aaj kī raat mujhe paas Thahar jaane de
tū ne āvāz lagā.ī to bhaTak jā.egā
is musāfir ko ḳhamoshī se guzar jaane de
ab mujhe bhul koi baat na kar jaane de
bite lamhon ke manazir ko bikhar jaane de
main ne kuchh kaam zaruri abhi nimTane hain
tera ehsan mere yar agar jaane de
raat gahri hai yahan tu bhi hai sannaTa bhi
hum charaghon ko andheron mein utar jaane de
main agar lauT bhi aaya to mujhe mat milna
is KHarabe ko meri jaan sudhar jaane de
tez barish hai ki saDkon pe bhi pani hai bahut
aaj ki raat mujhe pas Thahar jaane de
tu ne aawaz lagai to bhaTak jaega
is musafir ko KHamoshi se guzar jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.