ab mulaqaten nahin bas aashnai us se hai
ab mulāqāteñ nahīñ bas āshnā.ī us se hai
kis tarah kā saath hai kaisī judā.ī us se hai
aaj bhī raushan hai vo ik naam tāq-e-yād meñ
aaj bhī detī hai jo ik lau dikhā.ī us se hai
dhyān kī ujlī kiran āñkhoñ meñ qatra ashk kā
phir vo ik qaus-e-quzah jo rang laa.ī us se hai
tīsrā ik shaḳhs kartā hai hamesha tazkira
qissa-e-be-rang kī sab raushnā.ī us se hai
vo mujhe ginvā rahā thā us ḳhudā kī ne'mateñ
ye jo ġhamgīnī sī lahje meñ dar aa.ī us se hai
ab mulaqaten nahin bas aashnai us se hai
kis tarah ka sath hai kaisi judai us se hai
aaj bhi raushan hai wo ek nam taq-e-yaad mein
aaj bhi deti hai jo ek lau dikhai us se hai
dhyan ki ujli kiran aankhon mein qatra ashk ka
phir wo ek qaus-e-quzah jo rang lai us se hai
tisra ek shaKHs karta hai hamesha tazkira
qissa-e-be-rang ki sab raushnai us se hai
wo mujhe ginwa raha tha us KHuda ki ne'maten
ye jo ghamgini si lahje mein dar aai us se hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 72)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.