ab na aaega kabhi ruTh ke jaane wala
ab na aa.egā kabhī ruuTh ke jaane vaalā
umr bhar ḳhat vahī paḌhiyegā sirhāne vaalā
vo marāsim bhī nibhātā hai to rasmoñ kī tarah
aa gayā us ko bhī dastūr zamāne vaalā
ye judā hone kī rut hai na dikhāo jī ko
zikr chheḌo na koī agle zamāne vaalā
maiñ ne yādoñ ko kafan de ke sulā rakkhā hai
kaun aa.egā yahāñ milne milāne vaalā
shiddat-e-ġham se pighal jāoge ik din tum bhī
siikh lo ham se hunar hañsne hañsāne vaalā
ḳhuub ujāḌā hai ka.ī baar dayār-e-dil ko
jā basā duur kahīñ ghar ko basāne vaalā
ab to rasman bhī mulāqāt na hogī us se
bas ḳhayāloñ meñ chalā aa.egā jaane vaalā
ab na aaega kabhi ruTh ke jaane wala
umr bhar KHat wahi paDhiyega sirhane wala
wo marasim bhi nibhata hai to rasmon ki tarah
aa gaya us ko bhi dastur zamane wala
ye juda hone ki rut hai na dikhao ji ko
zikr chheDo na koi agle zamane wala
main ne yaadon ko kafan de ke sula rakkha hai
kaun aaega yahan milne milane wala
shiddat-e-gham se pighal jaoge ek din tum bhi
sikh lo hum se hunar hansne hansane wala
KHub ujaDa hai kai bar dayar-e-dil ko
ja basa dur kahin ghar ko basane wala
ab to rasman bhi mulaqat na hogi us se
bas KHayalon mein chala aaega jaane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.