ab na aankhon mein koi KHwab basaya jae
ab na āñkhoñ meñ koī ḳhvāb basāyā jaa.e
ḳhud ko kuchh aur na maġhmūm banāyā jaa.e
aas kī bazm meñ uḌne lagī mahrūmī kī ret
ik nayā shahr kahīñ aur basāyā jaa.e
phuul kuchh amn-o-masarrat ke khilā.e jaa.eñ
sīna-e-zīst pe kyoñ qahr ugāyā jaa.e
vaqt ke siine se kab haTtī hai yuuñ raat kī laash
koī hangāma koī hashr uThāyā jaa.e
ab chamakne se rahe chāñd sitāre 'mehdī'
ḳhuun se apne koī diip jalāyā jaa.e
ab na aankhon mein koi KHwab basaya jae
KHud ko kuchh aur na maghmum banaya jae
aas ki bazm mein uDne lagi mahrumi ki ret
ek naya shahr kahin aur basaya jae
phul kuchh amn-o-masarrat ke khilae jaen
sina-e-zist pe kyon qahr ugaya jae
waqt ke sine se kab haTti hai yun raat ki lash
koi hangama koi hashr uThaya jae
ab chamakne se rahe chand sitare 'mehdi'
KHun se apne koi dip jalaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.