ab na holi hai na diwali hai
ab na holī hai na divālī hai
goyā tahzīb miTne vaalī hai
zindagī farsh pe paḌī thī aur
maiñ ne āġhosh meñ uThā lī hai
sab muravvat ke khet banjar haiñ
saare gaañv meñ ḳhushk-sālī hai
ḳhvāhishoñ se bharā huā hai dil
ye alag baat jeb kHālī hai
ab to cigarette bhī pī rahe ho tum
tum ne hālat ye kyā banā lī hai
saare majbūr dene vaale haiñ
koī jābir huā savālī hai
muḌ ke aate nahīñ ho gaañv meñ
apnī duniyā kahāñ basā lī hai
phir se jharnā ravāñ hai āñkhoñ se
koh-e-ruḳhsār par bahālī hai
'faiz' ahl-e-zabān ke nazdīk
ek be-vazn she'r gaalī hai
ab na holi hai na diwali hai
goya tahzib miTne wali hai
zindagi farsh pe paDi thi aur
main ne aaghosh mein uTha li hai
sab murawwat ke khet banjar hain
sare ganw mein KHushk-sali hai
KHwahishon se bhara hua hai dil
ye alag baat jeb kHali hai
ab to cigarette bhi pi rahe ho tum
tum ne haalat ye kya bana li hai
sare majbur dene wale hain
koi jabir hua sawali hai
muD ke aate nahin ho ganw mein
apni duniya kahan basa li hai
phir se jharna rawan hai aankhon se
koh-e-ruKHsar par bahaali hai
'faiz' ahl-e-zaban ke nazdik
ek be-wazn she'r gali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.