ab na jhagDa na shikayat na bharam baqi hai
ab na jhagḌā na shikāyat na bharam baaqī hai
mere ehsān kī us pe ye raqam baaqī hai
haa.e vo shāḳh jo ummīd meñ hī suukh ga.ī
haa.e patthar vo ki jis kā abhī nam baaqī hai
ai mirī jaañ tū ubhar aaya ġham-e-hijrāñ se
merī dhaḌkan ke magar paañv meñ ḳham baaqī hai
ek kūche se nikaltī hai abhī chillāhaT
ek neze ke nishāne pe adam baaqī hai
ab na jhagDa na shikayat na bharam baqi hai
mere ehsan ki us pe ye raqam baqi hai
hae wo shaKH jo ummid mein hi sukh gai
hae patthar wo ki jis ka abhi nam baqi hai
ai meri jaan tu ubhar aaya gham-e-hijran se
meri dhaDkan ke magar panw mein KHam baqi hai
ek kuche se nikalti hai abhi chillahaT
ek neze ke nishane pe adam baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.