ab na sochenge ki is dahr mein insan hain bahut
![Qasim Shabbir Naqvi Naseerabadi Qasim Shabbir Naqvi Naseerabadi](https://www.rekhta.org/Content/Images/quillm.png)
ab na sochenge ki is dahr mein insan hain bahut
Qasim Shabbir Naqvi Naseerabadi
MORE BYQasim Shabbir Naqvi Naseerabadi
ab na socheñge ki is dahr meñ insāñ haiñ bahut
ham to mamnūn tire gardish-e-daurāñ haiñ bahut
ġham hai me’yār-e-junūñ shauq ke sāmāñ haiñ bahut
chāk-e-dāman haiñ bahut chāk-e-garebāñ haiñ bahut
dil dhaḌaktā hai to āvāz sī aa jaatī hai
vāqa’ī aap to nazdīk-e-rag-e-jāñ haiñ bahut
mujh ko aatā nahīñ mahrūm-e-tamannā honā
dil salāmat hai to dil meñ abhī armāñ haiñ bahut
zindagī ġham ke añdheroñ meñ ghuTī jaatī hai
raat hai ek magar ḳhvāb-e-pareshāñ haiñ bahut
māne’-e-fitrat-e-āzād chaman hai na qafas
hausla chāhiye parvāz ke imkāñ haiñ bahut
jazb-e-tā'mīr to mahdūd-e-gulistāñ hī nahīñ
gul khilāne haiñ to vīrān bayābāñ haiñ bahut
zinda rahnā bhī hai fan jaan kā denā bhī hai fan
varna yuuñ zindagī-o-maut ke unvāñ haiñ bahut
zindagī kā koī ġham ab nahīñ hotā mahsūs
dil-e-'qāsim' pe tire dard ke ehsāñ haiñ bahut
ab na sochenge ki is dahr mein insan hain bahut
hum to mamnun tere gardish-e-dauran hain bahut
gham hai me’yar-e-junun shauq ke saman hain bahut
chaak-e-daman hain bahut chaak-e-gareban hain bahut
dil dhaDakta hai to aawaz si aa jati hai
waqa’i aap to nazdik-e-rag-e-jaan hain bahut
mujh ko aata nahin mahrum-e-tamanna hona
dil salamat hai to dil mein abhi arman hain bahut
zindagi gham ke andheron mein ghuTi jati hai
raat hai ek magar KHwab-e-pareshan hain bahut
mane’-e-fitrat-e-azad chaman hai na qafas
hausla chahiye parwaz ke imkan hain bahut
jazb-e-ta'mir to mahdud-e-gulistan hi nahin
gul khilane hain to viran bayaban hain bahut
zinda rahna bhi hai fan jaan ka dena bhi hai fan
warna yun zindagi-o-maut ke unwan hain bahut
zindagi ka koi gham ab nahin hota mahsus
dil-e-'qasim' pe tere dard ke ehsan hain bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.