ab na taDpega KHud se wada kar
ab na taḌpegā ḳhud se va.ada kar
ġham kī vahshat se istifāda kar
bhūlne kī unheñ ye rakh tarkīb
ḳhud ko masrūf kuchh ziyāda kar
ḳhud ko mazbūt kar chaTānoñ sā
aur lahja zarā sā saada kar
kū-e-jānāñ meñ jā rahe haiñ log
qatl ho jaane kā irāda kar
tujh ko tārīḳh bhī to yaad kare
kaam koī to be-irāda kar
kitnī shā.istagī se jaate ho
merī hasrat ko be-libāda kar
tujh ko 'āzād' kar diyā ḳhud se
apne dil ko zarā kushāda kar
ab na taDpega KHud se wada kar
gham ki wahshat se istifada kar
bhulne ki unhen ye rakh tarkib
KHud ko masruf kuchh ziyaada kar
KHud ko mazbut kar chaTanon sa
aur lahja zara sa sada kar
ku-e-jaanan mein ja rahe hain log
qatl ho jaane ka irada kar
tujh ko tariKH bhi to yaad kare
kaam koi to be-irada kar
kitni shaistagi se jate ho
meri hasrat ko be-libaada kar
tujh ko 'azad' kar diya KHud se
apne dil ko zara kushada kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.