ab na wo lazzat-e-udasi hai
ab na vo lazzat-e-udāsī hai
ab hamārā firāq baasī hai
tere baare meñ pūchhtā huuñ jise
hichkichāhaT use zarā sī hai
vo hai hāsil mire gunāhoñ kā
us kī lā'nat kisī du'ā sī hai
aap kā hai ye imtihān-e-hayā
bas hamārī to be-libāsī hai
toḌne ko kahā hai 'ahd-e-vafā
bevafā.ī meñ bhī vafā sī hai
maiñ na jānūñ mirī zabāñ hai kyā
is meñ ḳhushbū to reḳhta sī hai
yuuñ hī 'zarra' na ḳhud ko kahtā huuñ
mujh meñ itnī to ḳhud-shanāsī hai
ab na wo lazzat-e-udasi hai
ab hamara firaq basi hai
tere bare mein puchhta hun jise
hichkichahaT use zara si hai
wo hai hasil mere gunahon ka
us ki la'nat kisi du'a si hai
aap ka hai ye imtihan-e-haya
bas hamari to be-libasi hai
toDne ko kaha hai 'ahd-e-wafa
bewafai mein bhi wafa si hai
main na jaanun meri zaban hai kya
is mein KHushbu to reKHta si hai
yun hi 'zarra' na KHud ko kahta hun
mujh mein itni to KHud-shanasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.