ab na wo sar hai na sauda hai na saudai hai
ab na vo sar hai na saudā hai na saudā.ī hai
husn ḳhud apne hī jalvoñ kā tamāshā.ī hai
raat añdherī hai bayābāñ bhī hai tanhā.ī hai
hasrat-e-dīd ḳhudā jaane kahāñ laa.ī hai
jalva-e-husn-e-butāñ bū-e-gul-o-naġhma sā
itne pardoñ meñ bhī us shoḳh kī rusvā.ī hai
yā vo din the ki tirā qurb thā hāsil mujh ko
yā bas ab yaad tirī mūnis-e-tanhā.ī hai
al-madad zauq-e-fanā al-madad ai jazba-e-ishq
merī fitrat mujhe phir hosh meñ le aa.ī hai
jaane tū hai ki tarī yaad magar dil meñ mire
tujh se miltī huī ik shakl nazar aa.ī hai
saikḌoñ baar mujhe ā.ina-e-hastī meñ
apnī sūrat tirī sūrat meñ nazar aa.ī hai
dekh le be-par-o-bālī pe bhī parvāz mirī
itnā kah de ki gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
tab maiñ samjhūñ ki huī josh-e-junūñ kī takmīl
ḳhud vo kahne lageñ 'vahshī' mirā saudā.ī hai
ab na wo sar hai na sauda hai na saudai hai
husn KHud apne hi jalwon ka tamashai hai
raat andheri hai bayaban bhi hai tanhai hai
hasrat-e-did KHuda jaane kahan lai hai
jalwa-e-husn-e-butan bu-e-gul-o-naghma sa
itne pardon mein bhi us shoKH ki ruswai hai
ya wo din the ki tera qurb tha hasil mujh ko
ya bas ab yaad teri munis-e-tanhai hai
al-madad zauq-e-fana al-madad ai jazba-e-ishq
meri fitrat mujhe phir hosh mein le aai hai
jaane tu hai ki tari yaad magar dil mein mere
tujh se milti hui ek shakl nazar aai hai
saikDon bar mujhe aaina-e-hasti mein
apni surat teri surat mein nazar aai hai
dekh le be-par-o-baali pe bhi parwaz meri
itna kah de ki gulistan mein bahaar aai hai
tab main samjhun ki hui josh-e-junun ki takmil
KHud wo kahne lagen 'wahshi' mera saudai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.