ab nahin hoti hai tanhai pe hairani mujhe
ab nahīñ hotī hai tanhā.ī pe hairānī mujhe
raas aatī jā rahī hai dil kī vīrānī mujhe
tesha-e-ġham se tarāshī jā rahī hai zindagī
rafta rafta mil rahī hai shakl-e-insānī mujhe
tāziyāne dard ke lagte raheñge umr bhar
de ga.ī kaisī sazā.eñ dil kī nādānī mujhe
sargirāñ jab tak rahā maiñ sāhab-e-dastār thā
bechtī phirtī hai ab ye merī arzānī mujhe
haiñ ajal aur zindagī ke darmiyāñ do hī qadam
fāsla lagtā hai ye bhī kitnā tūlānī mujhe
nāḳhudā hairat-ba-damāñ dekhtā hī rah gayā
le ga.ī sāhil se aa ke mauj-e-tūfānī mujhe
ik sukūñ kā saañs lene kā tavaqquf mil sake
kaash ho jaa.e dukhoñ meñ itnī āsānī mujhe
haath phailāte rahe saare zamāne meñ 'shakīl'
dar-ba-dar le kar phirī hai tang-dāmānī mujhe
ab nahin hoti hai tanhai pe hairani mujhe
ras aati ja rahi hai dil ki virani mujhe
tesha-e-gham se tarashi ja rahi hai zindagi
rafta rafta mil rahi hai shakl-e-insani mujhe
taziyane dard ke lagte rahenge umr bhar
de gai kaisi sazaen dil ki nadani mujhe
sargiran jab tak raha main sahab-e-dastar tha
bechti phirti hai ab ye meri arzani mujhe
hain ajal aur zindagi ke darmiyan do hi qadam
fasla lagta hai ye bhi kitna tulani mujhe
naKHuda hairat-ba-daman dekhta hi rah gaya
le gai sahil se aa ke mauj-e-tufani mujhe
ek sukun ka sans lene ka tawaqquf mil sake
kash ho jae dukhon mein itni aasani mujhe
hath phailate rahe sare zamane mein 'shakil'
dar-ba-dar le kar phiri hai tang-damani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.