ab pas-e-adab chhoDiye ab boliye qimat
ab pās-e-adab chhoḌiye ab boliye qīmat
bāzār meñ le aa.ī mujhe merī falākat
phir shahr pe aaseb kā saaya hai musallat
har aañkh hai pathrā.ī huī jism haiñ sākit
jis shaḳhs ko maarā gayā har ik kī razā se
mauzū-e-suḳhan aaj huī us kī halākat
maiñ aap kī imdād kī pahnūñgā na zanjīr
maiñ jāntā huuñ aap kā andāz-e-saḳhāvat
yā 'faḳhr' ke hālāt ko kar dījiye behtar
yā baḳhshiye bechāre ko rishvat kī ijāzat
ab pas-e-adab chhoDiye ab boliye qimat
bazar mein le aai mujhe meri falakat
phir shahr pe aaseb ka saya hai musallat
har aankh hai pathrai hui jism hain sakit
jis shaKHs ko mara gaya har ek ki raza se
mauzu-e-suKHan aaj hui us ki halakat
main aap ki imdad ki pahnunga na zanjir
main jaanta hun aap ka andaz-e-saKHawat
ya 'faKHr' ke haalat ko kar dijiye behtar
ya baKHshiye bechaare ko rishwat ki ijazat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.